Muhaabat
Nice piece of poetry from Amjad Islam Amjad.
muhaabat ki tabyat mein yeh kasa bachpana
qudrat ne rakha hai
ke yeh jitni purani jitni bhi mazboot hojaye
isse taaeed- taza ki zarorat phir bhi rehti hai
yaqeen ki akhri haddon tuk dilon mein lehlahati ho
nigahon se tapakti ho, lahoo mein jagmagati hon!
hazaron tarah ke dilkush , haseen halay banati ho!
isse Izhar ke lufzon ki hajat phir bhi rehti hai...
zameen se asmaan tuk jis qader diskash nazaray hain
muhabaat ke kinaray hain, wafa ke istiaray hain
Humaray Hain...
Humaray wastay yeh chandani ratein sanwarteen hain
sunehra din nikalta hai
muhabaat jis tarf jaye, zamana sath chulta hai
kuch asee besakooni hai wafa ki sarzameenon mein
ke jo ahl-muhabbat ko sada be chain rakhtee hai
ke jasay phool mein khushboo, ke jsay hath mein para
ke jasay sham ka tara!
muhaabat kerney walon ki seher raton mein rehti hai
guman ke shakhchon mein ashyan banta hai ulfat ka
yeh ain wasl mein bhi hajr ke khadshon mein rehti hai
muhabat ki tabyat mein yeh kasa bachpana qudrat ne rakha hai!!!!
so what do you say ??

0 Comments:
Post a Comment
<< Home